sun kar kiya hai ansuna aurat ke dard ko
koii nahin samajh saka aurat ke dard ko
mardon ne hansna bolna seekha inheen se aur
ta-umr samjha qahqaha aurat ke dard ko
mazloom apne haq ke liye bhi na lad saki
har aadmi daba raha aurat ke dard ko
ham ne ibaadaton mein bataaya to tha magar
rab bhi nahin samajh saka aurat ke dard ko
raftaar-e-zindagi ne kiya sab idhar udhar
kyun waqt kam na kar raha aurat ke dard ko
chhota sa zakhm ban gaya naasoor ek din
jab waqt par nahin suna aurat ke dard ko
aurat ka dard jaaie aurat se poochiye
ab mard se na poochna aurat ke dard ko
सुन कर किया है अनसुना औरत के दर्द को
कोई नहीं समझ सका औरत के दर्द को
मर्दों ने हँसना बोलना सीखा इन्हीं से और
ता-उम्र समझा क़हक़हा औरत के दर्द को
मज़लूम अपने हक़ के लिए भी न लड़ सकी
हर आदमी दबा रहा औरत के दर्द को
हम ने इबादतों में बताया तो था मगर
रब भी नहीं समझ सका औरत के दर्द को
रफ़्तार-ए-ज़िंदगी ने किया सब इधर उधर
क्यूँ वक़्त कम न कर रहा औरत के दर्द को
छोटा सा ज़ख़्म बन गया नासूर एक दिन
जब वक़्त पर नहीं सुना औरत के दर्द को
औरत का दर्द जाइए औरत से पूछिए
अब मर्द से न पूछना औरत के दर्द को
As you were reading Shayari by shampa andaliib
our suggestion based on shampa andaliib
As you were reading undefined Shayari