dukha tha dil mera toota nahin tha | दुखा था दिल मेरा टूटा नहीं था

  - Shamsul Hasan ShamS

dukha tha dil mera toota nahin tha
magar usse kabhi shikwa nahin tha

bahut nuqsaan mein hain ishq karke
hamaara istifaada tha nahin tha

havas bazaar hoti ja rahi thi
koii chehra pas-e-parda nahin tha

kai majbooriyaan theen uns mein aur
shareek-e-girya-e-dhoka nahin tha

karenge istiqaara vo kisi din
unhen mujh pe bharosa tha nahin tha

mushaahid kab hamaari hogi peshi
hamein is dukh ka andaaza nahin tha

hamein phir khudkushi karne padi thi
ki iske baad phir rasta nahin tha

bahut oopar se dik jaata tha sabko
magar ye zakhm bas dukhta nahin tha

tumhaare ishq ka saara asar hai
ye ladka is qadar saada nahin tha

meri beenaai khoti ja rahi thi
tu jab tak paas se guzra nahin tha

zara auqaat se baahar to aao
hamaara dost tum jaisa nahin tha

meri maano ki kaanta us gali ka
zara bhi paanv mein chubhta nahin tha

dilaase gham kami takleef dhoka
hamaare paas mein kya kya nahin tha

nahin chalti thi phir ye nabz meri
kabhi jo usko main chhoota nahin tha

दुखा था दिल मेरा टूटा नहीं था
मगर उससे कभी शिकवा नहीं था

बहुत नुक़्सान में हैं इश्क़ करके
हमारा इस्तिफ़ादा था नहीं था

हवस बाज़ार होती जा रही थी
कोई चेहरा पस-ए-पर्दा नहीं था

कई मजबूरियाँ थीं उन्स में और
शरीक-ए-गिर्या-ए-धोका नहीं था

करेंगे इस्तिख़ारा वो किसी दिन
उन्हें मुझ पे भरोसा था नहीं था

मुशाहिद कब हमारी होगी पेशी
हमें इस दुख का अंदाज़ा नहीं था

हमें फिर ख़ुदकुशी करनी पड़ी थी
कि इसके बाद फिर रस्ता नहीं था

बहुत ऊपर से दिख जाता था सबको
मगर ये ज़ख़्म बस दुखता नहीं था

तुम्हारे इश्क़ का सारा असर है
ये लड़का इस क़दर सादा नहीं था

मेरी बीनाई खोती जा रही थी
तू जब तक पास से गुज़रा नहीं था

ज़रा औक़ात से बाहर तो आओ
हमारा दोस्त तुम जैसा नहीं था

मेरी मानो कि काँटा उस गली का
ज़रा भी पाँव में चुभता नहीं था

दिलासे ग़म कमी तकलीफ़ धोका
हमारे पास में क्या क्या नहीं था

नहीं चलती थी फिर ये नब्ज़ मेरी
कभी जो उसको मैं छूता नहीं था

  - Shamsul Hasan ShamS

More by Shamsul Hasan ShamS

As you were reading Shayari by Shamsul Hasan ShamS

Similar Writers

our suggestion based on Shamsul Hasan ShamS

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari