subah uthte hi tujhe dhoondhtein aankhen aise
kam-nazar shakhs ko chashma ho sahaara jaise
tooti kashti ke sahaare main kinaare pahuncha
tujh talak aana tha so aa gaya jaise taise
main vo goonga hoon jise tujh ko bataana hai kuchh
raah mein aur bhi kuchh log mile the vaise
ek kirdaar nibhaane mein laga hai tu bas
tu mere saath nahin tujh ko bataaun kaise
main usi haal mein hoon aur usi mushkil mein
panchi toofaan mein daali se juda ho jaise
kaam aate hain kai baar to insaan faqat
har jagah kaam nahin aate hain paise vaise
ye to maaloom tha tu thoda juda hai lekin
tere lehje mein ye nafrat ye banaavat kaise
jeene marne kii qasam khaai thi dono ne kabhi
kis ne socha tha ki ham log juda hon aise
सुब्ह उठते ही तुझे ढूँढतीं आँखें ऐसे
कम-नज़र शख़्स को चश्मा हो सहारा जैसे
टूटी कश्ती के सहारे मैं किनारे पहुँचा
तुझ तलक आना था सो आ गया जैसे तैसे
मैं वो गूँगा हूँ जिसे तुझ को बताना है कुछ
राह में और भी कुछ लोग मिले थे वैसे
एक किरदार निभाने में लगा है तू बस
तू मिरे साथ नहीं तुझ को बताऊँ कैसे
मैं उसी हाल में हूँ और उसी मुश्किल में
पंछी तूफ़ान में डाली से जुदा हो जैसे
काम आते हैं कई बार तो इंसान फ़क़त
हर जगह काम नहीं आते हैं पैसे वैसे
ये तो मालूम था तू थोड़ा जुदा है लेकिन
तेरे लहजे में ये नफ़रत ये बनावट कैसे
जीने मरने की क़सम खाई थी दोनों ने कभी
किस ने सोचा था कि हम लोग जुदा हों ऐसे
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading undefined Shayari