kab se baithe the nazarein jamaaye | कब से बैठे थे नज़रें जमाए - Amaan Pathan

kab se baithe the nazarein jamaaye
aap aaye to ham muskuraaye

kuch kitaaben hain bas taq par aur
har taraf bikhre yaadon ke saaye

tum naye raaston par chalo ab
usko chhodo vo aaye na aaye

chaak daaman fate hont nam deed
koii khud ko bhi kitna giraaye

hai yahi iltijaa kaatib-e-waqt
maut aaye agar vo na aaye

कब से बैठे थे नज़रें जमाए
आप आए तो हम मुस्कुराए

कुछ किताबें हैं बस ताक़ पर और
हर तरफ़ बिखरे यादों के साए

तुम नए रास्तों पर चलो अब
उसको छोड़ो वो आए न आए

चाक दामन फटे होंठ नम दीद
कोई ख़ुद को भी कितना गिराए

है यही इल्तिजा कातिब-ए-वक़्त
मौत आए अगर वो न आए

- Amaan Pathan
0 Likes

More by Amaan Pathan

As you were reading Shayari by Amaan Pathan

Similar Writers

our suggestion based on Amaan Pathan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari