vishailee sii hawaaein hain watan mein
ghula hai zahar yun gang-o-jamn mein
qafas mein hi lage mahfooz rahna
parinde ab nahin udte gagan mein
lutega kaarwaan kaise nahin ab
hue rahbar hi shaamil raahzan mein
gulon mein jalne kii boo aa rahi hai
lagaaee aag ye kis ne chaman mein
siyaasat khel apna khelti hai
ladhaati ab ibadat aur bhajan mein
lutate jaan apni sarhadon par
jawaan aate tirange ke kafan mein
anees us ko kahein kaise sukhanvar
likhe tahreer zaahreeli sukhun mein
विषैली सी हवाएँ हैं वतन में
घुला है ज़हर यूँ गंग-ओ-जमन में
क़फ़स में ही लगे महफ़ूज़ रहना
परिंदे अब नहीं उड़ते गगन में
लुटेगा कारवाँ कैसे नहीं अब
हुए रहबर ही शामिल राहज़न में
गुलों में जलने की बू आ रही है
लगाई आग ये किस ने चमन में
सियासत खेल अपना खेलती है
लड़ाती अब इबादत और भजन में
लुटाते जान अपनी सरहदों पर
जवान आते तिरंगे के कफ़न में
'अनीस' उस को कहें कैसे सुख़नवर
लिखे तहरीर ज़हरीली सुख़न में
As you were reading Shayari by Anis shah anis
our suggestion based on Anis shah anis
As you were reading undefined Shayari