savera khatm hai to shaam aaye
kahe koii bhala naakaam aaye
sabhi ne saath chhodaa hai hamaara
vo mere har dukhon mein kaam aaye
dua karti rahoongi ye hamesha
jahaan mein bas unhin ka naam aaye
hamaara dil khushi se jhoom utha
awadh mein aaj phir shri raam aaye
pujaarin main bhi darshan chahti hoon
badi deri hui ab dhaam aaye
mohabbat mein hui paagal qasam se
bhale ham par koii ilzaam aaye
सवेरा ख़त्म है तो शाम आए
कहे कोई भला नाकाम आए
सभी ने साथ छोड़ा है हमारा
वो मेरे हर दुखों में काम आए
दुआ करती रहूँगी ये हमेशा
जहाँ में बस उन्हीं का नाम आए
हमारा दिल ख़ुशी से झूम उट्ठा
अवध में आज फिर श्री राम आए
पुजारिन मैं भी दर्शन चाहती हूँ
बड़ी देरी हुई अब धाम आए
मोहब्बत में हुई पागल क़सम से
भले हम पर कोई इल्ज़ाम आए
As you were reading Shayari by Arohi Tripathi
our suggestion based on Arohi Tripathi
As you were reading undefined Shayari