achhe logon ki koi bhi qeemat nahin
ab kisi ko bhi sach ki zaroorat nahin
daava to hai mohabbat ka lekin unhen
haal tak poochne ki bhi fursat nahin
apne ghar chhod ke chal diye hain wahan
shukr hai shehar mein aisi dahshat nahin
jo namaazen ada kar rahe hain bahut
jhooth se unko bhi koi nafrat nahin
apni marzi se vo jaan lete hain shaaz
shehar mein ab kisi ki hifaazat nahin
अच्छे लोगों की कोई भी क़ीमत नहीं
अब किसी को भी सच की ज़रूरत नहीं
दावा तो है मोहब्बत का लेकिन उन्हें
हाल तक पूछने की भी फ़ुर्सत नहीं
अपने घर छोड़ के चल दिए हैं वहाँ
शुक्र है शहर में ऐसी दहशत नहीं
जो नमाज़ें अदा कर रहे हैं बहुत
झूठ से उनको भी कोई नफ़रत नहीं
अपनी मर्ज़ी से वो जान लेते हैं शाज़
शहर में अब किसी की हिफ़ाज़त नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Dhokha Shayari Shayari