dil mein jab uske utar jaata hoon
aur bhi main to nikhar jaata hoon
raabta koii nahin hai gham se
saath kyun gham ke udhar jaata hoon
roz hi toot to jaata hoon par
dekh tujhko to sanwar jaata hoon
usne mujhko to kaha patthar dil
uski haalat se to dar jaata hoon
tum to ik phool ho main bhanwara hoon
mil na paaya to bikhar jaata hoon
har sar-e-shaam ke hote hi main
yaar phir khud hi bikhar jaata hoon
dost baichen jahaan se hokar
khaana-e-baagh thehar jaata hoon
दिल में जब उसके उतर जाता हूँ
और भी मैं तो निखर जाता हूँ
राब्ता कोई नहीं है ग़म से
साथ क्यों ग़म के उधर जाता हूँ
रोज ही टूट तो जाता हूँ पर
देख तुझको तो सँवर जाता हूँ
उसने मुझको तो कहा पत्थर दिल
उसकी हालत से तो डर जाता हूँ
तुम तो इक फूल हो मैं भँवरा हूँ
मिल न पाया तो बिखर जाता हूँ
हर सर-ए-शाम के होते ही मैं
यार फिर ख़ुद ही बिखर जाता हूँ
दोस्त बैचेन जहाँ से होकर
ख़ाना-ए-बाग़ ठहर जाता हूँ
As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi
our suggestion based on Lalit Mohan Joshi
As you were reading undefined Shayari