kahin qissa ham apna chhod aaye hain | कहीं क़िस्सा हम अपना छोड़ आए हैं - Lalit Mohan Joshi

kahin qissa ham apna chhod aaye hain
ye kaisa ab to manzar ham chhupaaye hain

ghareebi ko khamoshi se bahut sahte
yaqeenan dard ko ham raas aaye hain

yahan koii kisi ka hai nahin ab to
zamaane ko suno phir aazmaaye hain

hua ashkon kii nadiyon se yun phir milna
samandar ke magar apne kinaare hain

hamein rakhti bachaaye hai dua maa kii
tabhi ham jeetate maa ke sahaare hain

lalit ko aazmaate log dekho phir
jahaan mein doston kyun vo itne chhaaye hain

कहीं क़िस्सा हम अपना छोड़ आए हैं
ये कैसा अब तो मंज़र हम छुपाए हैं

ग़रीबी को ख़मोशी से बहुत सहते
यक़ीनन दर्द को हम रास आए हैं

यहाँ कोई किसी का है नहीं अब तो
ज़माने को सुनो फिर आज़माए हैं

हुआ अश्कों की नदियों से यूँ फिर मिलना
समंदर के मगर अपने किनारे हैं

हमें रखती बचाए है दुआ माँ की
तभी हम जीतते माँ के सहारे हैं

'ललित' को आज़माते लोग देखो फिर
जहाँ में दोस्तों क्यूँ वो इतने छाए हैं

- Lalit Mohan Joshi
3 Likes

More by Lalit Mohan Joshi

As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi

Similar Writers

our suggestion based on Lalit Mohan Joshi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari