ab mere chehre se bhaav nahin dikhte
jald kisi ko mere ghaav nahin dikhte
baarish to hoti dikhti hai mujhko par
bacche aur kaaghaz kii naav nahin dikhte
jiske saath mein hoga usko dikhta hai
karne waale ko bhed bhaav nahin dikhte
sab apne apne mein khoye hue hain bas
rishton mein ab vo suljhaav nahin dikhte
jismoon kii chaahat mein to alagaav dikhe
zehni chaahat mein alagaav nahin dikhte
अब मेरे चेहरे से भाव नहीं दिखते
जल्द किसी को मेरे घाव नहीं दिखते
बारिश तो होती दिखती है मुझको पर
बच्चे और काग़ज़ की नाव नहीं दिखते
जिसके साथ में होगा उसको दिखता है
करने वाले को भेद भाव नहीं दिखते
सब अपने अपने में खोए हुए हैं बस
रिश्तों में अब वो सुलझाव नहीं दिखते
जिस्मों की चाहत में तो अलगाव दिखे
ज़ेहनी चाहत में अलगाव नहीं दिखते
As you were reading Shayari by Manoj Devdutt
our suggestion based on Manoj Devdutt
As you were reading undefined Shayari