main apne sher jeena chahta hoon
sura ab sach mein peena chahta hoon
laga hai ishq ik mariyam ka jab se
main pandit bhi madeena chahta hoon
tu achha hai mera tu dost mat ban
main apna sa kameena chahta hoon
main jis mein chaar din tankhwaah paau
koii aisa mahina chahta hai
meri chaahat hai uska dil paseeje
main patthar mein paseena chahta hoon
nahin hai dar magar marne se pehle
main ik din khul ke jeena chahta hoon
mulaazim hoon kisi daftar ka main bhi
shajar main bhi ja-jaakar chahta hoon
मैं अपने शेर जीना चाहता हूँ
सुरा अब सच में पीना चाहता हूँ
लगा है इश्क़ इक मरियम का जब से
मैं पंडित भी मदीना चाहता हूँ
तू अच्छा है मेरा तू दोस्त मत बन
मैं अपना सा कमीना चाहता हूँ
मैं जिस में चार दिन तनख़्वाह पाऊँ
कोई ऐसा महीना चाहता है
मेरी चाहत है उसका दिल पसीजे
मैं पत्थर में पसीना चाहता हूँ
नहीं है डर मगर मरने से पहले
मैं इक दिन खुल के जीना चाहता हूँ
मुलाज़िम हूँ किसी दफ़्तर का मैं भी
'शजर' मैं भी सरीना चाहता हूँ
As you were reading Shayari by Praveen Sharma SHAJAR
our suggestion based on Praveen Sharma SHAJAR
As you were reading undefined Shayari