yaqeen ki chat se girta hai ye gamla toot jaata hai | यक़ीं की छत से गिरता है ये गमला टूट जाता है - Rehan Mirza

yaqeen ki chat se girta hai ye gamla toot jaata hai
faqat ik jhooth kehne se bharosa toot jaata hai

tumhein do din ki yaari khatm hone ka bahut dukh hai
yahan mazboot se mazboot rishta toot jaata hai

tumhaare munh se meethi baat sunne ka jo aadi ho
tumhaare talkh lehje se vo kitna toot jaata hai

jawaan bete ki mayyat hoti hogi kis qadar bhari
use jab baap dhota hai to kaandha toot jaata hai

duaaein khud-kushi se jaane kiski rok leti hain
latkata hoon main rassi se to pankha toot jaata hai

lagao dil magar ye baat meri yaad rakhna tum
muqaddar hai yahi sheeshe ka sheesha toot jaata hai

यक़ीं की छत से गिरता है ये गमला टूट जाता है
फ़क़त इक झूठ कहने से भरोसा टूट जाता है

तुम्हें दो दिन की यारी ख़त्म होने का बहुत दुख है
यहाँ मज़बूत से मज़बूत रिश्ता टूट जाता है

तुम्हारे मुँह से मीठी बात सुनने का जो आदी हो
तुम्हारे तल्ख़ लहजे से वो कितना टूट जाता है

जवाँ बेटे की मय्यत होती होगी किस क़दर भारी
उसे जब बाप ढोता है तो काँधा टूट जाता है

दुआएँ ख़ुद-कुशी से जाने किसकी रोक लेती हैं
लटकता हूँ मैं रस्सी से तो पँखा टूट जाता है

लगाओ दिल मगर ये बात मेरी याद रखना तुम
मुक़द्दर है यही शीशे का शीशा टूट जाता है

- Rehan Mirza
11 Likes

Aasra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rehan Mirza

As you were reading Shayari by Rehan Mirza

Similar Writers

our suggestion based on Rehan Mirza

Similar Moods

As you were reading Aasra Shayari Shayari