gulsitaan mein shajar aabaad nahin hone diya
usne taair koii azaad nahin hone diya
ishq mein toot ke barbaad nahin hone diya
maine khud ko kabhi farhaad nahin hone diya
hamse katre na gaye par kisi panchi ke kabhi
hamko dil-sozi ne sayyaad nahin hone diya
cheen len kyun kisi ustaad se ham uska maqaam
bas isi fikr ne ustaad nahin hone diya
hamne ta-umr rakha apne buzurgon ka bharam
qalb ko husn ka motaad nahin hone diya
गुलसिताँ में शजर आबाद नहीं होने दिया
उसने ताइर कोई आज़ाद नहीं होने दिया
इश्क़ में टूट के बर्बाद नहीं होने दिया
मैंने ख़ुद को कभी फ़रहाद नहीं होने दिया
हमसे कतरे न गए पर किसी पंछी के कभी
हमको दिल-सोज़ी ने सय्याद नहीं होने दिया
छीन लें क्यों किसी उस्ताद से हम उसका मक़ाम
बस इसी फ़िक्र ने उस्ताद नहीं होने दिया
हमने ता-उम्र रखा अपने बुज़ुर्गों का भरम
क़ल्ब को हुस्न का मोताद नहीं होने दिया
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari