jo khwaab dekha hai maine vo khwaab likkhoonga
main uski aankhon labon par kitaab likkhoonga
labon ko titliyan likkhoonga jugnoo aankhon ko
aur uske chehre ko main mahtaab likkhoonga
phir us kitaab ke andar suno shajar zaidi
main uske lehje ki sheerii pe baab likkhoonga
mareez-e-ishq jo hain la ilaaj unke liye
tumhaari aankhon ko main faizyaab likkhoonga
main uske chehra-e-anwar ko baa khuda murshid
kabhi qamar to kabhi aftaab likkhoonga
agar vo poochegi khat mein ke chaai kaisi lagi
use jawaab mein main la-jawaab likkhoonga
fareeza apni mohabbat ka yun nibhaaunga
ghazal mein usko sada baa hijaab likkhoonga
azaab mujh pe jo naazil hue hain hijr ke baad
main khat mein usko vo saare azaab likkhoonga
hazaaron baab mohabbat ke hain kitaabon mein
main ab kitaabon mein furqat pe baab likkhoonga
qalam uthaaunga jab bhi main zindagi mein shajar
mata-e-jaan ka husn-o-shabaab likkhoonga
जो ख़्वाब देखा है मैंने वो ख़्वाब लिक्खूँगा
मैं उसकी आँखो लबों पर किताब लिक्खूँगा
लबों को तितलियाँ लिक्खूँगा जुगनू आँखों को
और उसके चेहरे को मैं माहताब लिक्खूँगा
फिर उस किताब के अन्दर सुनो 'शजर' ज़ैदी
मैं उसके लहजे की शीरी पे बाब लिक्खूँगा
मरीज़-ए-इश्क़ जो हैं ला इलाज उनके लिए
तुम्हारी आँखों को मैं फ़ैज़याब लिक्खूँगा
मैं उसके चेहरा-ए-अनवर को बा ख़ुदा मुर्शिद
कभी क़मर तो कभी आफ़ताब लिक्खूँगा
अगर वो पूछेगी ख़त में के चाय कैसी लगी
उसे जवाब में मैं ला-जवाब लिक्खूँगा
फ़रीज़ा अपनी मोहब्बत का यूँ निभाऊँगा
ग़ज़ल में उसको सदा बा हिजाब लिक्खूँगा
अज़ाब मुझ पे जो नाज़िल हुए हैं हिज्र के बाद
मैं ख़त में उसको वो सारे अज़ाब लिक्खूँगा
हज़ारों बाब मोहब्बत के हैं किताबों में
मैं अब किताबों में फ़ुर्क़त पे बाब लिक्खूँगा
क़लम उठाऊँगा जब भी मैं ज़िन्दगी में शजर
मता-ए-जान का हुस्न-ओ-शबाब लिक्खूँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Lab Shayari Shayari