mahv-e-dua hai rab se yun saara jahaan na ho
ham jaisa koi doosra tishna dahaan na ho
betaab phir tu aaj dil-e-na-tawan na ho
main chahta hoon dard-e-mohabbat ayaan na ho
leila duaaein karti hai rab se ye ishq mein
barbaad mere qais sa koi jawaan na ho
bint-e-fulaan ne bint-e-fulaan se kaha suno
ibn-e-fulaan ho bazm mein ibn-e-fulaan na ho
sab khwaab dasht-e-chashm mein uryaan pade rahein
koi bhi inke haal pe nauha-kunaan na ho
jal jaayen dil ki basti mein sab ishq ke makaan
aur uske baad basti mein murshid dhuaan na ho
jis ko amaan hui hai mayassar vo khush rahe
vo kya kare ke jisko mayassar amaan na ho
mazloom par jo duniya mein zulm-o-sitam kare
mazloomiyat pe shah ki vo giryaa-kunaan na ho
aankhon ke raaste se mere dil mein aaye tu
phir mojiza ye ho ki tira naqsh-e-paan na ho
meri tarah se raaz tire aashkaar hon
meri tarah se koi tira raaz-daan na ho
mil jaaye jisko koo-e-sanam ba-khuda shajar
usko kabhi bhi khwaahish-e-baagh-e-jinaan na ho
महव-ए-दुआ है रब से यूँ सारा जहाँ ना हो
हम जैसा कोई दूसरा तिश्ना दहाँ ना हो
बेताब फिर तू आज दिल-ए-ना-तवाँ ना हो
मैं चाहता हूँ दर्द-ए-मोहब्बत अयाँ ना हो
लैला दुआएँ करती है रब से ये इश्क़ में
बर्बाद मेरे क़ैस सा कोई जवाँ ना हो
बिंत-ए-फ़ुलाँ ने बिंत-ए-फ़ुलाँ से कहा सुनो
इब्न-ए-फ़ुलाँ हो बज़्म में इब्न-ए-फ़ुलाँ ना हो
सब ख़्वाब दश्त-ए-चश्म में उर्यां पड़े रहें
कोई भी इनके हाल पे नौहा-कुनाँ ना हो
जल जाएँ दिल की बस्ती में सब इश्क़ के मकाँ
और उसके बाद बस्ती में मुर्शीद धुआँ ना हो
जिस को अमाँ हुई है मयस्सर वो ख़ुश रहे
वो क्या करे के जिसको मयस्सर अमाँ ना हो
मज़लूम पर जो दुनिया में ज़ुल्म-ओ-सितम करे
मज़लूमियत पे शह की वो गिर्या-कुनाँ ना हो
आँखों के रास्ते से मिरे दिल में आए तू
फिर मोजिज़ा ये हो की तिरा नक़्श-ए-पाँ ना हो
मेरी तरह से राज़ तिरे आश्कार हों
मेरी तरह से कोई तिरा राज़-दाँ ना हो
मिल जाए जिसको कू-ए-सनम बा-ख़ुदा शजर
उसको कभी भी ख़्वाहिश-ए-बाग़-ए-जिनाँ ना हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Broken Shayari Shayari