hua jab jab kahin bhi bebasi ka zikr | हुआ जब जब कहीं भी बेबसी का ज़िक्र - Viru Panwar

hua jab jab kahin bhi bebasi ka zikr
laga mujh ko vo meri zindagi ka zikr

usi pal aa gai thi doston kii yaad
kiya hi tha kisi ne dushmani ka zikr

ki ab kis kis se milna chhoden hum aakhir
jo bhi milta hai karta hai usi ka zikr

haan dil dukhta hai hum berozgaaron ka
koii karta hai jab bhi naukri ka zikr

jee us ke husn pe pad hi gaya bhari
gali mein us kii meri saadgi ka zikr

hamaare fan ko jo koii bhi samjhega
karenge hum usi se shayari ka zikr

हुआ जब जब कहीं भी बेबसी का ज़िक्र
लगा मुझ को वो मेरी ज़िंदगी का ज़िक्र

उसी पल आ गई थी दोस्तों की याद
किया ही था किसी ने दुश्मनी का ज़िक्र

कि अब किस किस से मिलना छोड़ें हम आख़िर
जो भी मिलता है करता है उसी का ज़िक्र

हाँ दिल दुखता है हम बेरोज़गारों का
कोई करता है जब भी नौकरी का ज़िक्र

जी उस के हुस्न पे पड़ ही गया भारी
गली में उस की मेरी सादगी का ज़िक्र

हमारे फ़न को जो कोई भी समझेगा
करेंगे हम उसी से शायरी का ज़िक्र

- Viru Panwar
0 Likes

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Viru Panwar

As you were reading Shayari by Viru Panwar

Similar Writers

our suggestion based on Viru Panwar

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari