andar hi andar mujh mein hai rota dard | अंदर ही अंदर मुझ में है, रोता दर्द

  - BR SUDHAKAR

andar hi andar mujh mein hai rota dard
dil se nikalta hi nahin mere dil ka dard

hota gar tujhko bhi mere jaisa dard
tab tu jaan hi jaati aakhir hai kya dard

koii mere aansoo samjhe bas itna
main usse kah deta apna saara dard

dil mera barso pehle toota tha par
ismein rehta hai ab bhi kuchh halka dard

koii saath nibhaao haath bataao mera
kab tak dhote rahunga main yu tanhaa dard

mujh pe kuchh tu taras kha ke hi aaja ab
naam tera leta hai dil mein uthta dard

saath nibhaata rehta hai hardam mera
haath ka pair ka aur mujhe phir sar ka dard

shaayad mujh ko koii beemaari hai saleem
mujhmein ye dar baitha hai phir koii dega dard

अंदर ही अंदर मुझ में है, रोता दर्द
दिल से निकलता ही नहीं, मेरे दिल का दर्द

होता गर तुझको भी मेरे जैसा दर्द
तब तू जान ही जाती, आख़िर है क्या दर्द

कोई मेरे आंसू समझे बस इतना
मैं उससे कह देता अपना सारा दर्द

दिल मेरा बरसो पहले टूटा था, पर
इसमें रहता है अब भी कुछ हल्का दर्द

कोई साथ निभाओ हाथ बटाओ मेरा
कब तक ढोते रहूंगा मैं, यू तन्हा दर्द

मुझ पे कुछ तू तरस खा के ही आजा अब
नाम तेरा लेता है, दिल में उठता दर्द

साथ निभाता रहता है हरदम मेरा
हाथ का पैर का और मुझे फिर सर का दर्द

शायद मुझ को कोई बीमारी है ' सलीम '
मुझमें ये डर बैठा है, फिर कोई देगा दर्द

  - BR SUDHAKAR

More by BR SUDHAKAR

As you were reading Shayari by BR SUDHAKAR

Similar Writers

our suggestion based on BR SUDHAKAR

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari