ye aur baat ki rang-e-bahaar kam hoga | ये और बात कि रंग-ए-बहार कम होगा

  - Aanis Moin

ye aur baat ki rang-e-bahaar kam hoga
nayi rutoon mein darakhton ka baar kam hoga

taalluqaat mein aayi hai bas ye tabdeeli
milenge ab bhi magar intizaar kam hoga

main sochta raha kal raat baith kar tanhaa
ki is hujoom mein mera shumaar kam hoga

palat to aayega shaayad kabhi yahi mausam
tire baghair magar khush-gawaar kam hoga

bahut taveel hai aanas ye zindagi ka safar
bas ek shakhs pe daar-o-madaar kam hoga

ये और बात कि रंग-ए-बहार कम होगा
नई रुतों में दरख़्तों का बार कम होगा

तअल्लुक़ात में आई है बस ये तब्दीली
मिलेंगे अब भी मगर इंतिज़ार कम होगा

मैं सोचता रहा कल रात बैठ कर तन्हा
कि इस हुजूम में मेरा शुमार कम होगा

पलट तो आएगा शायद कभी यही मौसम
तिरे बग़ैर मगर ख़ुश-गवार कम होगा

बहुत तवील है 'आनस' ये ज़िंदगी का सफ़र
बस एक शख़्स पे दार-ओ-मदार कम होगा

  - Aanis Moin

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aanis Moin

As you were reading Shayari by Aanis Moin

Similar Writers

our suggestion based on Aanis Moin

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari