mere jaise namoone rakh rakhe hain
madari ne jamuure rakh rakhe hain
kahaan bacche ka ik se man bhara hai
bahut saare khilone rakh rakhe hain
main inke saamne sach hi kahunga
inhonne kacche chitthe rakh rakhe hai
meri haalat isi se jaan lo tum
zaroori kaam-adhure rakh rakhe hain
kahaan se bachte rishte aur naate
fer-badal mein saroote rakh rakhe hain
मेरे जैसे नमूने रख रखे हैं
मदारी ने जमूरे रख रखे हैं
कहाँ बच्चे का इक से मन भरा है
बहुत सारे खिलौने रख रखे हैं
मैं इनके सामने सच ही कहूँगा
इन्होंने कच्चे चिट्ठे रख रखे है
मेरी हालत इसी से जान लो तुम
ज़रूरी काम-अधूरे रख रखे हैं
कहाँ से बचते रिश्ते और नाते
ज़बानों में सरौते रख रखे हैं
As you were reading Shayari by Aatish Indori
our suggestion based on Aatish Indori
As you were reading undefined Shayari