bhala kab main nishaane par nahin aaya | भला कब मैं निशाने पर नहीं आया

  - Aatish Indori

bhala kab main nishaane par nahin aaya
mere haathon mein par patthar nahin aaya

main tauba dosti se kar to luun lekin
hamesha peeth pe khanjar nahin aaya

kahi thehre nahin phir bhi shikaayat hai
safar mein khushnuma manzar nahin aaya

nibhaai hai muhabbat umr bhar aatish
muhabbat mein kabhi antar nahin aaya

भला कब मैं निशाने पर नहीं आया
मेरे हाथों में पर पत्थर नहीं आया

मैं तौबा दोस्ती से कर तो लूँ लेकिन
हमेशा पीठ पे ख़ंजर नहीं आया

कहीं ठहरे नहीं फिर भी शिकायत है
सफ़र में ख़ुशनुमा मंज़र नहीं आया

निभाई है मुहब्बत उम्र भर आतिश
मुहब्बत में कभी अंतर नहीं आया

  - Aatish Indori

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aatish Indori

As you were reading Shayari by Aatish Indori

Similar Writers

our suggestion based on Aatish Indori

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari