bala ka husn tha uska nazar se qahar dhaati thi
khuli agar se yakdam hi hawa ko aazaati thi
na jaane kis tarah vo sahti hogi saas ke taane
jo peehar mein zara sii baat par hi rooth jaati thi
faqat ab naam lena bhi use achha nahin lagta
jo mere naam ke aage hamesha jee lagati thi
vo kya din the ke bachpan mein sabhi ka laadla tha main
ki daada jee kii kheti thi to daadi geet gaati thi
pitaa ka dukh nahin dekha magar ye bhi nahin bhoola
mujhe jab maarti thi maa to choodi toot jaati thi
jhagdta tha behn se jab to maa se daant khaata tha
jo maa se rooth jaata to behn mujhko manaati thi
hamaari zindagi mein bhi muhabbat ka zamaana tha
zamaana tha ki hamko bhi kisi kii yaad aati thi
बला का हुस्न था उसका नज़र से क़हर ढाती थी
खुली ज़ुल्फ़ों से यकदम ही हवा को आज़माती थी
न जाने किस तरह वो सहती होगी सास के ताने
जो पीहर में ज़रा सी बात पर ही रूठ जाती थी
फ़क़त अब नाम लेना भी उसे अच्छा नहीं लगता
जो मेरे नाम के आगे हमेशा जी लगाती थी
वो क्या दिन थे के बचपन में सभी का लाडला था मैं
कि दादा जी की खेती थी तो दादी गीत गाती थी
पिता का दुख नहीं देखा मगर ये भी नहीं भूला
मुझे जब मारती थी माँ तो चूड़ी टूट जाती थी
झगड़ता था बहन से जब तो माँ से डाँट खाता था
जो माँ से रूठ जाता तो बहन मुझको मनाती थी
हमारी ज़िंदगी में भी मुहब्बत का ज़माना था
ज़माना था कि हमको भी किसी की याद आती थी
As you were reading Shayari by Aditya Singh aadi
our suggestion based on Aditya Singh aadi
As you were reading undefined Shayari