itne saare karam kahein kaise | इतने सारे करम कहें कैसे

  - Aditya Singh aadi

itne saare karam kahein kaise
tere baare mein ham kahein kaise

jisko paane mein umr beeti hai
usko khone ka gham kahein kaise

main to tera hoon jaante hain sab
tu hai mera sanam kahein kaise

aarzoo hai kahein kisi se gham
mas'ala hai ki ham kahein kaise

aakhiri ka suboot khud main hoon
uska pehla sitam kahein kaise

इतने सारे करम कहें कैसे
तेरे बारे में हम कहें कैसे

जिसको पाने में उम्र बीती है
उसको खोने का ग़म कहें कैसे

मैं तो तेरा हूँ जानते हैं सब
तू है मेरा सनम कहें कैसे

आरज़ू है कहें किसी से ग़म
मसअला है कि हम कहें कैसे

आख़िरी का सुबूत ख़ुद मैं हूँ
उसका पहला सितम कहें कैसे

  - Aditya Singh aadi

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aditya Singh aadi

As you were reading Shayari by Aditya Singh aadi

Similar Writers

our suggestion based on Aditya Singh aadi

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari