apne hi aap mein mubtila hoon
band kamre mein jalta diya hoon
jugnuon ko ishaara kiya hai
in sitaaron ko ab dekhta hoon
log is baat par hans rahe hain
main kisi baat par ro raha hoon
gar khuda kii taraf ho ishaara
dekhiyega kidhar dekhta hoon
doosra raasta hi nahin tha
aapke dil se hokar gaya hoon
aaj usne mera daam poocha
isliye khoob mehnga bika hoon
ik faqat naak hi darmiyaan hai
hont se hont ka fasla hoon
अपने ही आप में मुब्तिला हूँ
बंद कमरे में जलता दिया हूँ
जुगनुओं को इशारा किया है
इन सितारों को अब देखता हूँ
लोग इस बात पर हँस रहे हैं
मैं किसी बात पर रो रहा हूँ
गर ख़ुदा की तरफ़ हो इशारा
देखिएगा किधर देखता हूँ
दूसरा रास्ता ही नहीं था
आपके दिल से होकर गया हूँ
आज उसने मेरा दाम पूछा
इसलिए ख़ूब महँगा बिका हूँ
इक फ़क़त नाक ही दरमियाँ है
होंठ से होंठ का फ़ासला हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aditya Singh aadi
our suggestion based on Aditya Singh aadi
As you were reading Dil Shayari Shayari