chupke se fareb kha liya hai | चुपके से फ़रेब खा लिया है - Ahmad Nadeem Qasmi

chupke se fareb kha liya hai
hamne tera bhed pa liya hai

go loot gaye zindagi ke haathon
hamne tera gham bacha liya hai

jab dard utha to ro diye hum
phir der talak maza liya hai

ai gul tujhe pa hi lenge ik din
khushboo se tera pata liya hai

khurshid ko jab zawaal aaya
har cheez ne qad badha liya hai

bandon ne khuda kii justuju mein
bandon ko khuda bana liya hai

main qais ka ham-naseeb nikla
har tifl ne sar utha liya hai

चुपके से फ़रेब खा लिया है
हमने तेरा भेद पा लिया है

गो लुट गए ज़िन्दगी के हाथों
हमने तेरा ग़म बचा लिया है

जब दर्द उठा तो रो दिए हम
फिर देर तलक मज़ा लिया है

ऐ गुल तुझे पा ही लेंगे इक दिन
ख़ुशबू से तेरा पता लिया है

ख़ुर्शीद को जब ज़वाल आया
हर चीज़ ने क़द बढ़ा लिया है

बंदों ने ख़ुदा की जुस्तुजू में
बंदों को ख़ुदा बना लिया है

मैं क़ैस का हम-नसीब निकला
हर तिफ़्ल ने सर उठा लिया है

- Ahmad Nadeem Qasmi
2 Likes

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari