jee chahta hai falak pe jaaun | जी चाहता है फ़लक पे जाऊँ

  - Ahmad Nadeem Qasmi

jee chahta hai falak pe jaaun
suraj ko ghuroob se bachaaun

bas mera chale jo gardishon par
din ko bhi na chaand ko bujhaaun

main chhod ke seedhe raaston ko
bhatki hui nekiyaan kamaoon

imkaan pe is qadar yaqeen hai
seharaaon mein beej daal aaun

main shab ke musafiron ki khaatir
mish'aal na mile to ghar jalaaun

ashaar hain mere istiaare
aao tumhein aaine dikhaaun

yun bat ke bikhar ke rah gaya hoon
har shakhs mein apna aks paau

awaaz jo doon kisi ke dar par
andar se bhi khud nikal ke aaun

ai chaaragaraan-e-asr-e-haazir
faulaad ka dil kahaan se laaun

har raat dua karoon sehar ki
har subh naya fareb khaaoon

har jabr pe sabr kar raha hoon
is tarah kahi ujad na jaaun

rona bhi to tarz-e-guftugoo hai
aankhen jo ruken to lab hilaaoon

khud ko to nadeem aazmaaya
ab mar ke khuda ko aazmaaoon

जी चाहता है फ़लक पे जाऊँ
सूरज को ग़ुरूब से बचाऊँ

बस मेरा चले जो गर्दिशों पर
दिन को भी न चाँद को बुझाऊँ

मैं छोड़ के सीधे रास्तों को
भटकी हुई नेकियाँ कमाऊँ

इम्कान पे इस क़दर यक़ीं है
सहराओं में बीज डाल आऊँ

मैं शब के मुसाफ़िरों की ख़ातिर
मिशअल न मिले तो घर जलाऊँ

अशआ'र हैं मेरे इस्तिआरे
आओ तुम्हें आइने दिखाऊँ

यूँ बट के बिखर के रह गया हूँ
हर शख़्स में अपना अक्स पाऊँ

आवाज़ जो दूँ किसी के दर पर
अंदर से भी ख़ुद निकल के आऊँ

ऐ चारागरान-ए-अस्र-ए-हाज़िर
फ़ौलाद का दिल कहाँ से लाऊँ

हर रात दुआ करूँ सहर की
हर सुब्ह नया फ़रेब खाऊँ

हर जब्र पे सब्र कर रहा हूँ
इस तरह कहीं उजड़ न जाऊँ

रोना भी तो तर्ज़-ए-गुफ़्तुगू है
आँखें जो रुकें तो लब हिलाऊँ

ख़ुद को तो 'नदीम' आज़माया
अब मर के ख़ुदा को आज़माऊँ

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari