jab tira hukm mila tark mohabbat kar di
dil magar is pe vo dhadka ki qayamat kar di
tujh se kis tarah main izhaar-e-tamanna karta
lafz soojha to mua'ni ne bagaavat kar di
main to samjha tha ki laut aate hain jaane waale
tu ne ja kar to judaai meri qismat kar di
tujh ko pooja hai ki asnaam-parasti ki hai
main ne wahdat ke mafaahim ki kasrat kar di
mujh ko dushman ke iraadon pe bhi pyaar aata hai
tiri ulfat ne mohabbat meri aadat kar di
pooch baitha hoon main tujh se tire kooche ka pata
tere haalaat ne kaisi tiri soorat kar di
kya tira jism tire husn ki hiddat mein jala
raakh kis ne tiri sone ki si rangat kar di
जब तिरा हुक्म मिला तर्क मोहब्बत कर दी
दिल मगर इस पे वो धड़का कि क़यामत कर दी
तुझ से किस तरह मैं इज़्हार-ए-तमन्ना करता
लफ़्ज़ सूझा तो मुआ'नी ने बग़ावत कर दी
मैं तो समझा था कि लौट आते हैं जाने वाले
तूने जा कर तो जुदाई मिरी क़िस्मत कर दी
तुझ को पूजा है कि असनाम-परस्ती की है
मैंने वहदत के मफ़ाहीम की कसरत कर दी
मुझ को दुश्मन के इरादों पे भी प्यार आता है
तिरी उल्फ़त ने मोहब्बत मिरी आदत कर दी
पूछ बैठा हूँ मैं तुझ से तिरे कूचे का पता
तेरे हालात ने कैसी तिरी सूरत कर दी
क्या तिरा जिस्म तिरे हुस्न की हिद्दत में जला
राख किसने तिरी सोने की सी रंगत कर दी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi
our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi
As you were reading Aadat Shayari Shayari