suraj ko nikalna hai so niklega dobara
ab dekhiye kab doobta hai subh ka taara
maghrib mein jo doobe use mashriq hi nikale
main khoob samajhta hoon mashiyyat ka ishaara
padhta hoon jab us ko to sana karta hoon rab ki
insaan ka chehra hai ki quraan ka paara
jee haar ke tum paar na kar paao nadi bhi
vaise to samundar ka bhi hota hai kinaara
jannat mili jhooton ko agar jhooth ke badle
sacchon ko saza mein hai jahannam bhi gawara
ye kaun sa insaaf hai ai arsh-nashino
bijli jo tumhaari hai to khirman hai hamaara
mustaqbil-e-insaan ne elaan kiya hai
aainda se be-taaj rahega sar-e-daara
सूरज को निकलना है सो निकलेगा दोबारा
अब देखिए कब डूबता है सुब्ह का तारा
मग़रिब में जो डूबे उसे मशरिक़ ही निकाले
मैं ख़ूब समझता हूँ मशिय्यत का इशारा
पढ़ता हूँ जब उस को तो सना करता हूँ रब की
इंसान का चेहरा है कि क़ुरआन का पारा
जी हार के तुम पार न कर पाओ नदी भी
वैसे तो समुंदर का भी होता है किनारा
जन्नत मिली झूटों को अगर झूट के बदले
सच्चों को सज़ा में है जहन्नम भी गवारा
ये कौन सा इंसाफ़ है ऐ अर्श-नशीनो
बिजली जो तुम्हारी है तो ख़िर्मन है हमारा
मुस्तक़बिल-ए-इंसान ने एलान किया है
आइंदा से बे-ताज रहेगा सर-ए-दारा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi
our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi
As you were reading Dhokha Shayari Shayari