baarish ki rut thi raat thi pahloo-e-yaar tha | बारिश की रुत थी रात थी पहलू-ए-यार था

  - Ahmad Nadeem Qasmi

baarish ki rut thi raat thi pahloo-e-yaar tha
ye bhi tilism-e-gardish-e-lail-o-nahaar tha

kahte hain log auj pe tha mausam-e-bahaar
dil kah raha hai arbada-e-zulf-e-yaar tha

ab to visaal-e-yaar se behtar hai yaad-e-yaar
main bhi kabhi fareb-e-nazar ka shikaar tha

tu meri zindagi se bhi katara ke chal diya
tujh ko to meri maut pe bhi ikhtiyaar tha

o gaane waale tootte taaron ke saaz par
main bhi shaheed-e-tool-e-shab-e-intizaar tha

palkein uthiin jhapak ke gireen phir na uth sakeen
ye e'tibaar hai to kahaan e'tibaar tha

yazdaan se bhi uljh hi pada tha tira nadeem
ya'ni azal se dil mein yahi khalfshaar tha

बारिश की रुत थी रात थी पहलू-ए-यार था
ये भी तिलिस्म-ए-गर्दिश-ए-लैल-ओ-नहार था

कहते हैं लोग औज पे था मौसम-ए-बहार
दिल कह रहा है अरबदा-ए-ज़ुल्फ़-ए-यार था

अब तो विसाल-ए-यार से बेहतर है याद-ए-यार
मैं भी कभी फ़रेब-ए-नज़र का शिकार था

तू मेरी ज़िंदगी से भी कतरा के चल दिया
तुझ को तो मेरी मौत पे भी इख़्तियार था

ओ गाने वाले टूटते तारों के साज़ पर
मैं भी शहीद-ए-तूल-ए-शब-ए-इंतिज़ार था

पलकें उठीं झपक के गिरीं फिर न उठ सकीं
ये ए'तिबार है तो कहाँ ए'तिबार था

यज़्दाँ से भी उलझ ही पड़ा था तिरा 'नदीम'
या'नी अज़ल से दिल में यही ख़लफ़शार था

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari