khada tha kab se zameen peeth par uthaaye hue | खड़ा था कब से ज़मीं पीठ पर उठाए हुए

  - Ahmad Nadeem Qasmi

khada tha kab se zameen peeth par uthaaye hue
aab aadmi hai qayamat se lau lagaaye hue

ye dasht se umad aaya hai kis ka sail-e-junoon
ki husn-e-shehr khada hai naqaab uthaaye hue

ye bhed tere siva ai khuda kise maaloom
azaab toot pade mujh pe kis ke laaye hue

ye sail-e-aab na tha zalzala tha paani ka
bikhar bikhar gaye qarye mere basaaye hue

ajab tazaad mein kaata hai zindagi ka safar
labon pe pyaas thi baadal the sar pe chhaaye hue

sehar hui to koi apne ghar mein ruk na saka
kisi ko yaad na aaye diye jalaae hue

khuda ki shaan ki munkir hain aadmiyyat ke
khud apni sukdi hui zaat ke sataaye hue

jo aasteen chhadaayein bhi muskuraayein bhi
vo log hain mere barson ke aazmaaye hue

ye inqilaab to ta'aamir ke mizaaj mein hai
giraaye jaate hain aivaan bane-banaaye hue

ye aur baat mere bas mein thi na goonj is ki
mujhe to muddatein guzriin ye geet gaaye hue

meri hi god mein kyun kat ke gir pade hain nadeem
abhi dua ke liye the jo haath uthaaye hue

खड़ा था कब से ज़मीं पीठ पर उठाए हुए
आब आदमी है क़यामत से लौ लगाए हुए

ये दश्त से उमड आया है किस का सैल-ए-जुनूँ
कि हुस्न-ए-शहर खड़ा है नक़ाब उठाए हुए

ये भेद तेरे सिवा ऐ ख़ुदा किसे मालूम
अज़ाब टूट पड़े मुझ पे किस के लाए हुए

ये सैल-ए-आब न था ज़लज़ला था पानी का
बिखर बिखर गए क़र्ये मिरे बसाए हुए

अजब तज़ाद में काटा है ज़िंदगी का सफ़र
लबों पे प्यास थी बादल थे सर पे छाए हुए

सहर हुई तो कोई अपने घर में रुक न सका
किसी को याद न आए दिए जलाए हुए

ख़ुदा की शान कि मुंकिर हैं आदमिय्यत के
ख़ुद अपनी सुकड़ी हुई ज़ात के सताए हुए

जो आस्तीन चढ़ाएँ भी मुस्कुराएँ भी
वो लोग हैं मिरे बरसों के आज़माए हुए

ये इंक़िलाब तो ता'मीर के मिज़ाज में है
गिराए जाते हैं ऐवाँ बने-बनाए हुए

ये और बात मिरे बस में थी न गूँज इस की
मुझे तो मुद्दतें गुज़रीं ये गीत गाए हुए

मिरी ही गोद में क्यूँ कट के गिर पड़े हैं 'नदीम'
अभी दुआ के लिए थे जो हाथ उठाए हुए

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari