umr bhar us ne isee tarah lubhaaya hai mujhe | उम्र भर उस ने इसी तरह लुभाया है मुझे - Ahmad Nadeem Qasmi

umr bhar us ne isee tarah lubhaaya hai mujhe
vo jo is dasht ke us paar se laaya hai mujhe

kitne aainon mein ik aks dikhaaya hai mujhe
zindagi ne jo akela kabhi paaya hai mujhe

tu mera kufr bhi hai tu mera eimaan bhi hai
tu ne lootaa hai mujhe tu ne basaaya hai mujhe

main tujhe yaad bhi karta hoon to jal uthata hoon
tu ne kis dard ke sehra mein ganwaaya hai mujhe

tu vo moti ki samundar mein bhi sho'la-zan tha
main vo aansu ki sar-e-khaak giraaya hai mujhe

itni khaamosh hai shab log dare jaate hain
aur main sochta hoon kis ne bulaaya hai mujhe

meri pehchaan to mushkil thi magar yaaron ne
zakham apne jo kurede hain to paaya hai mujhe

waiz-e-shehr ke naaron se to kya khulti aankh
khud mere khwaab ki haibat ne jagaaya hai mujhe

ai khuda ab tire firdaus pe mera haq hai
tu ne is daur ke dozakh mein jalaya hai mujhe

उम्र भर उस ने इसी तरह लुभाया है मुझे
वो जो इस दश्त के उस पार से लाया है मुझे

कितने आईनों में इक अक्स दिखाया है मुझे
ज़िंदगी ने जो अकेला कभी पाया है मुझे

तू मिरा कुफ़्र भी है तू मिरा ईमान भी है
तू ने लूटा है मुझे तू ने बसाया है मुझे

मैं तुझे याद भी करता हूँ तो जल उठता हूँ
तू ने किस दर्द के सहरा में गँवाया है मुझे

तू वो मोती कि समुंदर में भी शो'ला-ज़न था
मैं वो आँसू कि सर-ए-ख़ाक गिराया है मुझे

इतनी ख़ामोश है शब लोग डरे जाते हैं
और मैं सोचता हूँ किस ने बुलाया है मुझे

मेरी पहचान तो मुश्किल थी मगर यारों ने
ज़ख़्म अपने जो कुरेदे हैं तो पाया है मुझे

वाइज़-ए-शहर के नारों से तो क्या खुलती आँख
ख़ुद मिरे ख़्वाब की हैबत ने जगाया है मुझे

ऐ ख़ुदा अब तिरे फ़िरदौस पे मेरा हक़ है
तू ने इस दौर के दोज़ख़ में जलाया है मुझे

- Ahmad Nadeem Qasmi
0 Likes

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari