main kisi shakhs se bezaar nahin ho saka | मैं किसी शख़्स से बेज़ार नहीं हो सकता

  - Ahmad Nadeem Qasmi

main kisi shakhs se bezaar nahin ho saka
ek zarra bhi to be-kaar nahin ho saka

is qadar pyaar hai insaan ki khataaon se mujhe
ki farishta mera mea'ar nahin ho saka

ai khuda phir ye jahannam ka tamasha kya hai
tera shehkaar to finnaar nahin ho saka

ai haqeeqat ko faqat khwaab samajhne waale
tu kabhi saahib-e-asraar nahin ho saka

tu ki ik mauja-e-nikhat se bhi chaunk uthata hai
hashr aata hai to bedaar nahin ho saka

sar-e-deewaar ye kyun nirakh ki takraar hui
ghar ka aangan kabhi bazaar nahin ho saka

raakh si majlis-e-aqwaam ki chutki mein hai kya
kuchh bhi ho ye mera pindaar nahin ho saka

is haqeeqat ko samajhne mein lutaaya kya kuchh
mera dushman mera gham-khwaar nahin ho saka

main ne bheja tujhe aivaan-e-hukoomat mein magar
ab to barson tira deedaar nahin ho saka

teergi chahe sitaaron ki sifaarish laaye
raat se mujh ko sarokaar nahin ho saka

vo jo sher'on mein hai ik shay pas-e-alfaaz nadeem
us ka alfaaz mein izhaar nahin ho saka

मैं किसी शख़्स से बेज़ार नहीं हो सकता
एक ज़र्रा भी तो बे-कार नहीं हो सकता

इस क़दर प्यार है इंसाँ की ख़ताओं से मुझे
कि फ़रिश्ता मिरा मेआ'र नहीं हो सकता

ऐ ख़ुदा फिर ये जहन्नम का तमाशा क्या है
तेरा शहकार तो फ़िन्नार नहीं हो सकता

ऐ हक़ीक़त को फ़क़त ख़्वाब समझने वाले
तू कभी साहिब-ए-असरार नहीं हो सकता

तू कि इक मौजा-ए-निकहत से भी चौंक उठता है
हश्र आता है तो बेदार नहीं हो सकता

सर-ए-दीवार ये क्यूँ निर्ख़ की तकरार हुई
घर का आँगन कभी बाज़ार नहीं हो सकता

राख सी मज्लिस-ए-अक़्वाम की चुटकी में है क्या
कुछ भी हो ये मिरा पिंदार नहीं हो सकता

इस हक़ीक़त को समझने में लुटाया क्या कुछ
मेरा दुश्मन मिरा ग़म-ख़्वार नहीं हो सकता

मैंने भेजा तुझे ऐवान-ए-हुकूमत में मगर
अब तो बरसों तिरा दीदार नहीं हो सकता

तीरगी चाहे सितारों की सिफ़ारिश लाए
रात से मुझ को सरोकार नहीं हो सकता

वो जो शे'रों में है इक शय पस-ए-अल्फ़ाज़ 'नदीम'
उस का अल्फ़ाज़ में इज़हार नहीं हो सकता

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Intiqam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Intiqam Shayari Shayari