abhi hamko munaasib aap hote se nahin lagte
b-chashm-e-tar mukhaatib hain p rote se nahin lagte
wahi darya bahut gahra wahi tairaak ham achhe
hua hai dafn moti ab ki gote se nahin lagte
ye aayi raat aankhon ko chalo khoo-khoo kiya jaaye
badan ye so bhi jaaye aankh sote se nahin lagte
अभी हमको मुनासिब आप होते से नहीं लगते
ब–चश्म–ए–तर मुख़ातिब हैं प रोते से नहीं लगते
वही दर्या बहुत गहरा वही तैराक हम अच्छे
हुआ है दफ़्न मोती अब कि गोते से नहीं लगते
ये आई रात आँखों को चलो खूँ–खूँ किया जाए
बदन ये सो भी जाए आँख सोते से नहीं लगते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dhiraj Singh 'Tahammul'
our suggestion based on Dhiraj Singh 'Tahammul'
As you were reading Badan Shayari Shayari