itne bedaar zamaane mein ye saazish bhari raat | इतने बेदार ज़माने में ये साज़िश भरी रात - Ahmad Nadeem Qasmi

itne bedaar zamaane mein ye saazish bhari raat
meri taarikh ke seene pe utar aayi thi

apni sangeenon mein is raat ki saffaaq sipah
doodh peete hue bacchon ko piro laai thi

ghar ke aangan mein ravaan khoon tha ghar waalon ka
aur har khet pe sholoon ki ghatta chhaai thi

raaste band the laashon se patti galiyon mein
bheed si bheed thi tanhaai si tanhaai thi

इतने बेदार ज़माने में ये साज़िश भरी रात
मेरी तारीख़ के सीने पे उतर आई थी

अपनी संगीनों में इस रात की सफ़्फ़ाक सिपह
दूध पीते हुए बच्चों को पिरो लाई थी

घर के आँगन में रवाँ ख़ून था घर वालों का
और हर खेत पे शो'लों की घटा छाई थी

रास्ते बंद थे लाशों से पटी गलियों में
भीड़ सी भीड़ थी तन्हाई सी तन्हाई थी

- Ahmad Nadeem Qasmi
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari