mudaava habs ka hone laga aahista aahista | मुदावा हब्स का होने लगा आहिस्ता आहिस्ता - Ahmad Nadeem Qasmi

mudaava habs ka hone laga aahista aahista
chali aati hai vo mauj-e-saba aahista aahista

zara waqfa se niklega magar niklega chaand aakhir
ki suraj bhi to maghrib mein chhupa aahista aahista

koi sunta to ik kohraam barpa tha hawaon mein
shajar se ek patta jab gira aahista aahista

abhi se harf-e-rukhsat kyun jab aadhi raat baaki hai
gul o shabnam to hote hain juda aahista aahista

mujhe manzoor gar tark-e-taalluq hai raza teri
magar tootega rishta dard ka aahista aahista

phir is ke baad shab hai jis ki had subh-e-abad tak hai
mughanni shaam ka naghma suna aahista aahista

shab-e-furqat mein jab nazm-e-sehr bhi doob jaate hain
utarta hai mere dil mein khuda aahista aahista

main shehr-e-dil se nikla hoon sab aawazon ko dafna kar
nadeem ab kaun deta hai sada aahista aahista

मुदावा हब्स का होने लगा आहिस्ता आहिस्ता
चली आती है वो मौज-ए-सबा आहिस्ता आहिस्ता

ज़रा वक़्फ़ा से निकलेगा मगर निकलेगा चाँद आख़िर
कि सूरज भी तो मग़रिब में छुपा आहिस्ता आहिस्ता

कोई सुनता तो इक कोहराम बरपा था हवाओं में
शजर से एक पत्ता जब गिरा आहिस्ता आहिस्ता

अभी से हर्फ़-ए-रुख़्सत क्यूँ जब आधी रात बाक़ी है
गुल ओ शबनम तो होते हैं जुदा आहिस्ता आहिस्ता

मुझे मंज़ूर गर तर्क-ए-तअल्लुक है रज़ा तेरी
मगर टूटेगा रिश्ता दर्द का आहिस्ता आहिस्ता

फिर इस के बाद शब है जिस की हद सुब्ह-ए-अबद तक है
मुग़न्नी शाम का नग़्मा सुना आहिस्ता आहिस्ता

शब-ए-फ़ुर्क़त में जब नज्म-ए-सहर भी डूब जाते हैं
उतरता है मिरे दिल में ख़ुदा आहिस्ता आहिस्ता

मैं शहर-ए-दिल से निकला हूँ सब आवाज़ों को दफ़ना कर
'नदीम' अब कौन देता है सदा आहिस्ता आहिस्ता

- Ahmad Nadeem Qasmi
0 Likes

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari