apne maahol se the qais ke rishte kya kya | अपने माहौल से थे क़ैस के रिश्ते क्या क्या

  - Ahmad Nadeem Qasmi

apne maahol se the qais ke rishte kya kya
dasht mein aaj bhi uthte hain bagule kya kya

ishq me'aar-e-wafa ko nahin karta neelaam
warna idraak ne dikhlaaye the raaste kya kya

ye alag baat ki barase nahin garje to bahut
warna baadal mere seharaaon pe umde kya kya

aag bhadki to dar-o-baam hue raakh ke dher
aur dete rahe ahbaab dilaase kya kya

log ashiyaa ki tarah bik gaye ashiyaa ke liye
sar-e-bazaar tamaashe nazar aaye kya kya

lafz kis shaan se takhleeq hua tha lekin
us ka mafhoom badalte rahe nuqte kya kya

ik kiran tak bhi na pahunchee mere baatin mein nadeem
sar-e-aflaak damakte rahe taare kya kya

अपने माहौल से थे क़ैस के रिश्ते क्या क्या
दश्त में आज भी उठते हैं बगूले क्या क्या

इश्क़ मे'आर-ए-वफ़ा को नहीं करता नीलाम
वर्ना इदराक ने दिखलाए थे रस्ते क्या क्या

ये अलग बात कि बरसे नहीं गरजे तो बहुत
वर्ना बादल मिरे सहराओं पे उमडे क्या क्या

आग भड़की तो दर-ओ-बाम हुए राख के ढेर
और देते रहे अहबाब दिलासे क्या क्या

लोग अशिया की तरह बिक गए अशिया के लिए
सर-ए-बाज़ार तमाशे नज़र आए क्या क्या

लफ़्ज़ किस शान से तख़्लीक़ हुआ था लेकिन
उस का मफ़्हूम बदलते रहे नुक़्ते क्या क्या

इक किरन तक भी न पहुँची मिरे बातिन में 'नदीम'
सर-ए-अफ़्लाक दमकते रहे तारे क्या क्या

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari