andaaz hoo-b-hoo tiri aawaaz-e-paa ka tha | अंदाज़ हू-ब-हू तिरी आवाज़-ए-पा का था

  - Ahmad Nadeem Qasmi

andaaz hoo-b-hoo tiri aawaaz-e-paa ka tha
dekha nikal ke ghar se to jhonka hawa ka tha

is husn-e-ittifaq pe loot kar bhi shaad hoon
teri raza jo thi vo taqaza wafa ka tha

dil raakh ho chuka to chamak aur badh gai
ye teri yaad thi ki amal keemiya ka tha

is rishta-e-lateef ke asraar kya khulen
tu saamne tha aur tasavvur khuda ka tha

chhup chhup ke rooun aur sar-e-anjuman hansoon
mujh ko ye mashwara mere dard-aashna ka tha

utha ajab tazaad se insaan ka khameer
aadi fana ka tha to pujaari baqa ka tha

toota to kitne aaina-khaanon pe zad padi
atka hua gale mein jo patthar sada ka tha

hairaan hoon ki vaar se kaise bacha nadeem
vo shakhs to gareeb o ghayoor intiha ka tha

अंदाज़ हू-ब-हू तिरी आवाज़-ए-पा का था
देखा निकल के घर से तो झोंका हवा का था

इस हुस्न-ए-इत्तिफ़ाक़ पे लुट कर भी शाद हूँ
तेरी रज़ा जो थी वो तक़ाज़ा वफ़ा का था

दिल राख हो चुका तो चमक और बढ़ गई
ये तेरी याद थी कि अमल कीमिया का था

इस रिश्ता-ए-लतीफ़ के असरार क्या खुलें
तू सामने था और तसव्वुर ख़ुदा का था

छुप छुप के रोऊँ और सर-ए-अंजुमन हँसूँ
मुझ को ये मशवरा मिरे दर्द-आश्ना का था

उट्ठा अजब तज़ाद से इंसान का ख़मीर
आदी फ़ना का था तो पुजारी बक़ा का था

टूटा तो कितने आइना-ख़ानों पे ज़द पड़ी
अटका हुआ गले में जो पत्थर सदा का था

हैरान हूँ कि वार से कैसे बचा 'नदीम'
वो शख़्स तो ग़रीब ओ ग़यूर इंतिहा का था

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Raaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Raaz Shayari Shayari