jo log dushman-e-jaan the wahi sahaare the | जो लोग दुश्मन-ए-जाँ थे वही सहारे थे

  - Ahmad Nadeem Qasmi

jo log dushman-e-jaan the wahi sahaare the
munaafay the mohabbat mein ne khasaare the

huzoor-e-shaah bas itna hi arz karna hai
jo ikhtiyaar tumhaare the haq hamaare the

ye aur baat bahaarein gurez-paa nikliin
gulon ke ham ne to sadqe bahut utaare the

khuda kare ki tiri umr mein gine jaayen
vo din jo ham ne tire hijr mein guzaare the

ab izn ho to tiri zulf mein piro den phool
ki aasmaan ke sitaare to istiaare the

qareeb aaye to har gul tha khaana-e-zamboor
nadeem door ke manzar to pyaare pyaare the

जो लोग दुश्मन-ए-जाँ थे वही सहारे थे
मुनाफ़े थे मोहब्बत में ने ख़सारे थे

हुज़ूर-ए-शाह बस इतना ही अर्ज़ करना है
जो इख़्तियार तुम्हारे थे हक़ हमारे थे

ये और बात बहारें गुरेज़-पा निकलीं
गुलों के हम ने तो सदक़े बहुत उतारे थे

ख़ुदा करे कि तिरी उम्र में गिने जाएँ
वो दिन जो हम ने तिरे हिज्र में गुज़ारे थे

अब इज़्न हो तो तिरी ज़ुल्फ़ में पिरो दें फूल
कि आसमाँ के सितारे तो इस्तिआरे थे

क़रीब आए तो हर गुल था ख़ाना-ए-ज़ंबूर
'नदीम' दूर के मंज़र तो प्यारे प्यारे थे

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari