vo koi aur na tha chand khushk patte the | वो कोई और न था चंद ख़ुश्क पत्ते थे

  - Ahmad Nadeem Qasmi

vo koi aur na tha chand khushk patte the
shajar se toot ke jo fasl-e-gul pe roye the

abhi abhi tumhein socha to kuchh na yaad aaya
abhi abhi to ham ik doosre se bichhde the

tumhaare ba'ad chaman par jab ik nazar daali
kali kali mein khizaan ke charaagh jalte the

tamaam umr wafa ke gunaahgaar rahe
ye aur baat ki ham aadmi to achhe the

shab-e-khamosh ko tanhaai ne zabaan de di
pahaad goonjte the dasht sansanaate the

vo ek baar mere jin ko tha hayaat se pyaar
jo zindagi se gurezaan the roz marte the

naye khayal ab aate hain dhal ke aahan mein
hamaare dil mein kabhi khet lahlahaate the

ye irtiqa ka chalan hai ki har zamaane mein
purane log naye aadmi se darte the

nadeem jo bhi mulaqaat thi adhuri thi
ki ek chehre ke peeche hazaar chehre the

वो कोई और न था चंद ख़ुश्क पत्ते थे
शजर से टूट के जो फ़स्ल-ए-गुल पे रोए थे

अभी अभी तुम्हें सोचा तो कुछ न याद आया
अभी अभी तो हम इक दूसरे से बिछड़े थे

तुम्हारे बा'द चमन पर जब इक नज़र डाली
कली कली में ख़िज़ाँ के चराग़ जलते थे

तमाम उम्र वफ़ा के गुनाहगार रहे
ये और बात कि हम आदमी तो अच्छे थे

शब-ए-ख़मोश को तन्हाई ने ज़बाँ दे दी
पहाड़ गूँजते थे दश्त सनसनाते थे

वो एक बार मिरे जिन को था हयात से प्यार
जो ज़िंदगी से गुरेज़ाँ थे रोज़ मरते थे

नए ख़याल अब आते हैं ढल के आहन में
हमारे दिल में कभी खेत लहलहाते थे

ये इर्तिक़ा का चलन है कि हर ज़माने में
पुराने लोग नए आदमी से डरते थे

'नदीम' जो भी मुलाक़ात थी अधूरी थी
कि एक चेहरे के पीछे हज़ार चेहरे थे

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari