mera ghuroor tujhe kho ke haar maan gaya | मिरा ग़ुरूर तुझे खो के हार मान गया

  - Ahmad Nadeem Qasmi

mera ghuroor tujhe kho ke haar maan gaya
main chot kha ke magar apni qadr jaan gaya

kahi ufuq na mila meri dasht-gardi ko
main teri dhun mein bhari kaayenaat chaan gaya

khuda ke ba'ad to be-intihaa andhera hai
tiri talab mein kahaan tak na mera dhyaan gaya

jabeen pe bal bhi na aata ganwa ke dono-jahaan
jo tu china to main apni shikast maan gaya

badalte rang the teri umang ke ghazmaaz
tu mujh se bichhda to main tera raaz jaan gaya

khud apne aap se main shikwa-sanj aaj bhi hoon
nadeem yun to mujhe ik jahaan maan gaya

मिरा ग़ुरूर तुझे खो के हार मान गया
मैं चोट खा के मगर अपनी क़द्र जान गया

कहीं उफ़ुक़ न मिला मेरी दश्त-गर्दी को
मैं तेरी धुन में भरी काएनात छान गया

ख़ुदा के बा'द तो बे-इंतिहा अँधेरा है
तिरी तलब में कहाँ तक न मेरा ध्यान गया

जबीं पे बल भी न आता गँवा के दोनों-जहाँ
जो तू छिना तो मैं अपनी शिकस्त मान गया

बदलते रंग थे तेरी उमंग के ग़म्माज़
तू मुझ से बिछड़ा तो मैं तेरा राज़ जान गया

ख़ुद अपने आप से मैं शिकवा-संज आज भी हूँ
'नदीम' यूँ तो मुझे इक जहान मान गया

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari