marooun to main kisi chehre mein rang bhar jaaun | मरूँ तो मैं किसी चेहरे में रंग भर जाऊँ

  - Ahmad Nadeem Qasmi

marooun to main kisi chehre mein rang bhar jaaun
nadeem kaash yahi ek kaam kar jaaun

ye dasht-e-tark-e-mohabbat ye tere qurb ki pyaas
jo izn ho to tiri yaad se guzar jaaun

mera vujood meri rooh ko pukaarta hai
tiri taraf bhi chaloon to thehar thehar jaaun

tire jamaal ka partav hai sab haseenon par
kahaan kahaan tujhe dhundhun kidhar kidhar jaaun

main zinda tha ki tira intizaar khatm na ho
jo tu mila hai to ab sochta hoon mar jaaun

tire siva koi shaista-wafa bhi to ho
main tere dar se jo uthoon to kis ke ghar jaaun

ye sochta hoon ki main but-parast kyun na hua
tujhe qareeb jo paau to khud se dar jaaun

kisi chaman mein bas is khauf se guzar na hua
kisi kali pe na bhule se paanv dhar jaaun

ye jee mein aati hai takhleeq-e-fan ke lamhon mein
ki khoon ban ke rag-e-sang mein utar jaaun

मरूँ तो मैं किसी चेहरे में रंग भर जाऊँ
'नदीम' काश यही एक काम कर जाऊँ

ये दश्त-ए-तर्क-ए-मोहब्बत ये तेरे क़ुर्ब की प्यास
जो इज़्न हो तो तिरी याद से गुज़र जाऊँ

मिरा वजूद मिरी रूह को पुकारता है
तिरी तरफ़ भी चलूँ तो ठहर ठहर जाऊँ

तिरे जमाल का परतव है सब हसीनों पर
कहाँ कहाँ तुझे ढूँडूँ किधर किधर जाऊँ

मैं ज़िंदा था कि तिरा इंतिज़ार ख़त्म न हो
जो तू मिला है तो अब सोचता हूँ मर जाऊँ

तिरे सिवा कोई शाइस्ता-वफ़ा भी तो हो
मैं तेरे दर से जो उठूँ तो किस के घर जाऊँ

ये सोचता हूँ कि मैं बुत-परस्त क्यूँ न हुआ
तुझे क़रीब जो पाऊँ तो ख़ुद से डर जाऊँ

किसी चमन में बस इस ख़ौफ़ से गुज़र न हुआ
किसी कली पे न भूले से पाँव धर जाऊँ

ये जी में आती है तख़्लीक़-ए-फ़न के लम्हों में
कि ख़ून बन के रग-ए-संग में उतर जाऊँ

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Khoon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Khoon Shayari Shayari