meri mahdood basaarat ka nateeja nikla
aasmaan mere tasavvur se bhi halka nikla
roz-e-awwal se hai fitrat ka raqeeb aadam-zaad
dhoop nikli to mere jism se saaya nikla
sar-e-darya tha charaaghaan ki ajal raqs mein thi
bulbulaa jab koi toota to sharaara nikla
baat jab thi ki sar-e-shaam farozaan hota
raat jab khatm hui subh ka taara nikla
muddaton ba'ad jo roya hoon to ye sochta hoon
aaj to seena-e-sehra se bhi dariya nikla
kuchh na tha kuchh bhi na tha jab mere aasaar khude
ek dil tha so kai jagah se toota nikla
log shahpaara-e-yak-jaai jise samjhe the
apni khilwat se jo nikla to bikharta nikla
mera eesaar mere zo'm mein be-ajr na tha
aur main apni adaalat mein bhi jhoota nikla
main to samjha tha bahut sard hai zaahid ka mizaaj
us ke andar to qayamat ka tamasha nikla
wahi be-ant khala hai wahi be-samt safar
mera ghar mere liye aalam-e-baala nikla
zindagi ret ke zarraat ki ginti thi nadeem
kya sitam hai ki adam bhi wahi sehra nikla
मेरी महदूद बसारत का नतीजा निकला
आसमाँ मेरे तसव्वुर से भी हल्का निकला
रोज़-ए-अव्वल से है फ़ितरत का रक़ीब आदम-ज़ाद
धूप निकली तो मिरे जिस्म से साया निकला
सर-ए-दरिया था चराग़ाँ कि अजल रक़्स में थी
बुलबुला जब कोई टूटा तो शरारा निकला
बात जब थी कि सर-ए-शाम फ़रोज़ाँ होता
रात जब ख़त्म हुई सुब्ह का तारा निकला
मुद्दतों बा'द जो रोया हूँ तो ये सोचता हूँ
आज तो सीना-ए-सहरा से भी दरिया निकला
कुछ न था कुछ भी न था जब मिरे आसार खुदे
एक दिल था सो कई जगह से टूटा निकला
लोग शहपारा-ए-यक-जाई जिसे समझे थे
अपनी ख़ल्वत से जो निकला तो बिखरता निकला
मेरा ईसार मिरे ज़ो'म में बे-अज्र न था
और मैं अपनी अदालत में भी झूटा निकला
मैं तो समझा था बहुत सर्द है ज़ाहिद का मिज़ाज
उस के अंदर तो क़यामत का तमाशा निकला
वही बे-अंत ख़ला है वही बे-सम्त सफ़र
मेरा घर मेरे लिए आलम-ए-बाला निकला
ज़िंदगी रेत के ज़र्रात की गिनती थी 'नदीम'
क्या सितम है कि अदम भी वही सहरा निकला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi
our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi
As you were reading Raat Shayari Shayari