daava to kiya husn-e-jahaan-soz ka sab ne
duniya ka magar roop badhaaya tiri chhab ne
tu neend mein bhi meri taraf dekh raha tha
sone na diya mujh ko siyah-chashmee-e-shab ne
har zakham pe dekhi hain tire pyaar ki mohrein
ye gul bhi khilaaye hain teri surkhi-e-lab ne
khushbu-e-badan aayi hai phir mauj-e-saba se
phir kis ko pukaara hai tire shehar tarab ne
darkaar hai mujh ko to faqat izn-e-tabassum
patthar se agar phool ugaae mere rab ne
vo husn hai insaan ki meraaj-e-tasavvur
jis husn ko pooja hai mere sher o adab ne
दावा तो किया हुस्न-ए-जहाँ-सोज़ का सब ने
दुनिया का मगर रूप बढ़ाया तिरी छब ने
तू नींद में भी मेरी तरफ़ देख रहा था
सोने न दिया मुझ को सियह-चश्मी-ए-शब ने
हर ज़ख़्म पे देखी हैं तिरे प्यार की मोहरें
ये गुल भी खिलाए हैं तेरी सुर्ख़ी-ए-लब ने
ख़ुशबू-ए-बदन आई है फिर मौज-ए-सबा से
फिर किस को पुकारा है तिरे शहर तरब ने
दरकार है मुझ को तो फ़क़त इज़्न-ए-तबस्सुम
पत्थर से अगर फूल उगाए मिरे रब ने
वो हुस्न है इंसान की मेराज-ए-तसव्वुर
जिस हुस्न को पूजा है मिरे शेर ओ अदब ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi
our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi
As you were reading Kamar Shayari Shayari