ik mohabbat ke evaz arz-o-sama de doonga | इक मोहब्बत के एवज़ अर्ज़-ओ-समा दे दूँगा

  - Ahmad Nadeem Qasmi

ik mohabbat ke evaz arz-o-sama de doonga
tujh se kaafir ko to main apna khuda de doonga

justuju bhi mera fan hai mere bichhde hue dost
jo bhi dar band mila us pe sada de doonga

ek pal bhi tire pahluu mein jo mil jaaye to main
apne ashkon se use aab-e-baqa de doonga

rukh badal doonga saba ka tire kooche ki taraf
aur toofaan ko apna hi pata de doonga

jab bhi aayein mere haathon mein rutoon ki baagen
barf ko dhoop to sehra ko ghatta de doonga

tu karam kar nahin saka to sitam tod ke dekh
main tire zulm ko bhi husn-e-ada de doonga

khatm gar ho na saki uzr-taraashi teri
ik sadi tak tujhe jeene ki dua de doonga

इक मोहब्बत के एवज़ अर्ज़-ओ-समा दे दूँगा
तुझ से काफ़िर को तो मैं अपना ख़ुदा दे दूँगा

जुस्तुजू भी मिरा फ़न है मिरे बिछड़े हुए दोस्त
जो भी दर बंद मिला उस पे सदा दे दूँगा

एक पल भी तिरे पहलू में जो मिल जाए तो मैं
अपने अश्कों से उसे आब-ए-बक़ा दे दूँगा

रुख़ बदल दूँगा सबा का तिरे कूचे की तरफ़
और तूफ़ान को अपना ही पता दे दूँगा

जब भी आएँ मिरे हाथों में रुतों की बागें
बर्फ़ को धूप तो सहरा को घटा दे दूँगा

तू करम कर नहीं सकता तो सितम तोड़ के देख
मैं तिरे ज़ुल्म को भी हुस्न-ए-अदा दे दूँगा

ख़त्म गर हो न सकी उज़्र-तराशी तेरी
इक सदी तक तुझे जीने की दुआ दे दूँगा

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari