ham kabhi ishq ko vehshat nahin banne dete | हम कभी इश्क़ को वहशत नहीं बनने देते

  - Ahmad Nadeem Qasmi

ham kabhi ishq ko vehshat nahin banne dete
dil ki tahzeeb ko tohmat nahin banne dete

lab hi lab hai to kabhi aur kabhi chashm hi chashm
naqsh tere tiri soorat nahin banne dete

ye sitaare jo chamakte hain pas-e-abr-e-siyaah
tere gham ko meri aadat nahin banne dete

un ki jannat bhi koi dast-e-bala hi hogi
zinda rahne ko jo lazzat nahin banne dete

dost jo dard batate hain vo nadaani mein
dar-haqeeqat meri seerat nahin banne dete

fikr fan ke liye laazim magar achhe shayar
apne fan ko kabhi hikmat nahin banne dete

vo mohabbat ka taalluq ho ki nafrat ka nadeem
raabte zeest ko khilwat nahin banne dete

हम कभी इश्क़ को वहशत नहीं बनने देते
दिल की तहज़ीब को तोहमत नहीं बनने देते

लब ही लब है तो कभी और कभी चश्म ही चश्म
नक़्श तेरे तिरी सूरत नहीं बनने देते

ये सितारे जो चमकते हैं पस-ए-अब्र-ए-सियाह
तेरे ग़म को मिरी आदत नहीं बनने देते

उन की जन्नत भी कोई दश्त-ए-बला ही होगी
ज़िंदा रहने को जो लज़्ज़त नहीं बनने देते

दोस्त जो दर्द बटाते हैं वो नादानी में
दर-हक़ीक़त मिरी सीरत नहीं बनने देते

फ़िक्र फ़न के लिए लाज़िम मगर अच्छे शायर
अपने फ़न को कभी हिकमत नहीं बनने देते

वो मोहब्बत का तअल्लुक़ हो कि नफ़रत का 'नदीम'
राब्ते ज़ीस्त को ख़ल्वत नहीं बनने देते

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari