kaun kehta hai ki maut aayi to mar jaaunga
main to dariya hoon samundar mein utar jaaunga
tera dar chhod ke main aur kidhar jaaunga
ghar mein ghir jaaunga sehra mein bikhar jaaunga
tere pahluu se jo uththoonga to mushkil ye hai
sirf ik shakhs ko paaoonga jidhar jaaunga
ab tire shehar mein aaunga musaafir ki tarah
saaya-e-abr ki maanind guzar jaaunga
tera paimaan-e-wafa raah ki deewaar bana
warna socha tha ki jab chaahunga mar jaaunga
chaarasaazon se alag hai mera mea'ar ki main
zakham khaaunga to kuchh aur sanwar jaaunga
ab to khurshid ko guzre hue sadiyaan guzriin
ab use dhoondhne main ta-b-sehr jaaunga
zindagi sham'a ki maanind jalata hoon nadeem
bujh to jaaunga magar subh to kar jaaunga
कौन कहता है कि मौत आई तो मर जाऊँगा
मैं तो दरिया हूँ समुंदर में उतर जाऊँगा
तेरा दर छोड़ के मैं और किधर जाऊँगा
घर में घिर जाऊँगा सहरा में बिखर जाऊँगा
तेरे पहलू से जो उठ्ठूँगा तो मुश्किल ये है
सिर्फ़ इक शख़्स को पाऊँगा जिधर जाऊँगा
अब तिरे शहर में आऊँगा मुसाफ़िर की तरह
साया-ए-अब्र की मानिंद गुज़र जाऊँगा
तेरा पैमान-ए-वफ़ा राह की दीवार बना
वर्ना सोचा था कि जब चाहूँगा मर जाऊँगा
चारासाज़ों से अलग है मिरा मेआ'र कि मैं
ज़ख़्म खाऊँगा तो कुछ और सँवर जाऊँगा
अब तो ख़ुर्शीद को गुज़रे हुए सदियाँ गुज़रीं
अब उसे ढूँडने मैं ता-ब-सहर जाऊँगा
ज़िंदगी शम्अ' की मानिंद जलाता हूँ 'नदीम'
बुझ तो जाऊँगा मगर सुब्ह तो कर जाऊँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi
our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi
As you were reading Shehar Shayari Shayari