tu bigadta bhi hai khaas apne hi andaaz ke saath
phool khilte hain tire shola-e-aawaaz ke saath
ek baar aur bhi kyun arz-e-tamanna na karoon
ki tu inkaar bhi karta hai ajab naaz ke saath
lay jo tooti to sada aayi shikast-e-dil ki
rag-e-jaan ka koi rishta hai rag-e-saaz ke saath
tu pukaare to chamak uthati hain meri aankhen
teri soorat bhi hai shaamil tiri awaaz ke saath
jab tak arzaan hai zamaane mein kabootar ka lahu
zulm hai rabt rakhoon gar kisi shahbaaz ke saath
past itni to na thi meri shikast ai yaaro
par samete hain magar hasrat parwaaz ke saath
pahre baithe hain qafas par ki hai sayyaad ko vaham
par-shikaston ko bhi ik rabt hai parwaaz ke saath
umr bhar sang-zanee karte rahe ahl-e-watan
ye alag baat ki dafnaayenge e'zaaz ke saath
तू बिगड़ता भी है ख़ास अपने ही अंदाज़ के साथ
फूल खिलते हैं तिरे शोला-ए-आवाज़ के साथ
एक बार और भी क्यूँ अर्ज़-ए-तमन्ना न करूँ
कि तू इंकार भी करता है अजब नाज़ के साथ
लय जो टूटी तो सदा आई शिकस्त-ए-दिल की
रग-ए-जाँ का कोई रिश्ता है रग-ए-साज़ के साथ
तू पुकारे तो चमक उठती हैं मेरी आँखें
तेरी सूरत भी है शामिल तिरी आवाज़ के साथ
जब तक अर्ज़ां है ज़माने में कबूतर का लहू
ज़ुल्म है रब्त रखूँ गर किसी शहबाज़ के साथ
पस्त इतनी तो न थी मेरी शिकस्त ऐ यारो
पर समेटे हैं मगर हसरत पर्वाज़ के साथ
पहरे बैठे हैं क़फ़स पर कि है सय्याद को वहम
पर-शिकस्तों को भी इक रब्त है पर्वाज़ के साथ
उम्र भर संग-ज़नी करते रहे अहल-ए-वतन
ये अलग बात कि दफ़नाएँगे ए'ज़ाज़ के साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi
our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi
As you were reading Environment Shayari Shayari