phir bhayaanak teergi mein aa gaye
ham gajr bajne se dhoka kha gaye
haaye khwaabon ki khayaaban-saaziyaan
aankh kya khuli chaman murjha gaye
kaun the aakhir jo manzil ke qareeb
aaine ki chadaren faila gaye
kis tajalli ka diya ham ko fareb
kis dhundlake mein hamein pahuncha gaye
un ka aana hashr se kuchh kam na tha
aur jab palte qayamat dhaa gaye
ik paheli ka hamein de kar jawaab
ik paheli ban ke har soo chha gaye
phir wahi akhtar-shumaari ka nizaam
ham to is takraar se ukta gaye
rehnumaao raat abhi baaki sahi
aaj sayyaare agar takra gaye
kya rasaa nikli dua-e-ijtihaad
vo chhupaate hi rahe ham pa gaye
bas wahi memaar-e-fardaa hain nadeem
jin ko mere valvale raas aa gaye
फिर भयानक तीरगी में आ गए
हम गजर बजने से धोका खा गए
हाए ख़्वाबों की ख़याबाँ-साज़ियाँ
आँख क्या खोली चमन मुरझा गए
कौन थे आख़िर जो मंज़िल के क़रीब
आइने की चादरें फैला गए
किस तजल्ली का दिया हम को फ़रेब
किस धुँदलके में हमें पहुँचा गए
उन का आना हश्र से कुछ कम न था
और जब पलटे क़यामत ढा गए
इक पहेली का हमें दे कर जवाब
इक पहेली बन के हर सू छा गए
फिर वही अख़्तर-शुमारी का निज़ाम
हम तो इस तकरार से उकता गए
रहनुमाओ रात अभी बाक़ी सही
आज सय्यारे अगर टकरा गए
क्या रसा निकली दुआ-ए-इज्तिहाद
वो छुपाते ही रहे हम पा गए
बस वही मेमार-ए-फ़र्दा हैं 'नदीम'
जिन को मेरे वलवले रास आ गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi
our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi
As you were reading Good night Shayari Shayari