bazm-e-insaan mein bhi ik raat basar kar dekho | बज़्म-ए-इंसाँ में भी इक रात बसर कर देखो

  - Ahmad Nadeem Qasmi

bazm-e-insaan mein bhi ik raat basar kar dekho
ek baar apni zameen par bhi utar kar dekho

is ufuq par na agar jannat-e-mauuda mili
is ufuq tak bhi jo chaaho to safar kar dekho

koi doobi hui kashti hai ki saahil ka nishaan
apni sochon ke samundar se ubhar kar dekho

khud ko dekho mere mea'ar ke aaine mein
ik zara mujh pe ye ehsaan bhi dhar kar dekho

mausam-e-gul hai to kirdaar-e-chaman kyun badle
aag phoolon ko to shabnam ko sharar kar dekho

har zamaane mein bujhe to nahin rahte khurshed
gardisho aaj meri shab ko sehar kar dekho

बज़्म-ए-इंसाँ में भी इक रात बसर कर देखो
एक बार अपनी ज़मीं पर भी उतर कर देखो

इस उफ़ुक़ पर न अगर जन्नत-ए-मौऊदा मिली
इस उफ़ुक़ तक भी जो चाहो तो सफ़र कर देखो

कोई डूबी हुई कश्ती है कि साहिल का निशाँ
अपनी सोचों के समुंदर से उभर कर देखो

ख़ुद को देखो मिरे मेआ'र के आईने में
इक ज़रा मुझ पे ये एहसान भी धर कर देखो

मौसम-ए-गुल है तो किरदार-ए-चमन क्यूँ बदले
आग फूलों को तो शबनम को शरर कर देखो

हर ज़माने में बुझे तो नहीं रहते ख़ुर्शेद
गर्दिशो आज मिरी शब को सहर कर देखो

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari