shaam ko subh-e-chaman yaad aayi
kis ki khushbu-e-badan yaad aayi
jab khayaalon mein koi mod aaya
tere gesu ki shikan yaad aayi
yaad aaye tire paikar ke khutoot
apni kotaahi-e-fan yaad aayi
chaand jab door ufuq par dooba
tere lehje ki thakan yaad aayi
din shua'on se uljhte guzra
raat aayi to kiran yaad aayi
शाम को सुब्ह-ए-चमन याद आई
किस की ख़ुशबू-ए-बदन याद आई
जब ख़यालों में कोई मोड़ आया
तेरे गेसू की शिकन याद आई
याद आए तिरे पैकर के ख़ुतूत
अपनी कोताही-ए-फ़न याद आई
चाँद जब दूर उफ़ुक़ पर डूबा
तेरे लहजे की थकन याद आई
दिन शुआ'ओं से उलझते गुज़रा
रात आई तो किरन याद आई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi
our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi
As you were reading Shaam Shayari Shayari