ajab suroor mila hai mujhe dua kar ke | अजब सुरूर मिला है मुझे दुआ कर के

  - Ahmad Nadeem Qasmi

ajab suroor mila hai mujhe dua kar ke
ki muskuraya khuda bhi sitaara vaa kar ke

gada-gari bhi ik usloob-e-fan hai jab main ne
usi ko maang liya us se iltijaa kar ke

shab-e-firaq ke har jabr ko shikast hui
ki main ne subh to kar li khuda khuda kar ke

ye soch kar ki kabhi to jawaab aayega
main us ke dar pe khada rah gaya sada kar ke

ye chaara-gar hain ki ik ijtima-e-bad-zauqaan
vo mujh ko dekhen tiri zaat se juda kar ke

khuda bhi un ko na bakshe to lutf aa jaaye
jo apne-aap se sharminda hoon khata kar ke

khud apni zaat pe to e'timaad pukhta hua
nadeem yun to mujhe kya mila wafa kar ke

अजब सुरूर मिला है मुझे दुआ कर के
कि मुस्कुराया ख़ुदा भी सितारा वा कर के

गदा-गरी भी इक उस्लूब-ए-फ़न है जब मैं ने
उसी को माँग लिया उस से इल्तिजा कर के

शब-ए-फ़िराक़ के हर जब्र को शिकस्त हुई
कि मैं ने सुब्ह तो कर ली ख़ुदा ख़ुदा कर के

ये सोच कर कि कभी तो जवाब आएगा
मैं उस के दर पे खड़ा रह गया सदा कर के

ये चारा-गर हैं कि इक इजतिमा-ए-बद-ज़ौक़ाँ
वो मुझ को देखें तिरी ज़ात से जुदा कर के

ख़ुदा भी उन को न बख़्शे तो लुत्फ़ आ जाए
जो अपने-आप से शर्मिंदा हूँ ख़ता कर के

ख़ुद अपनी ज़ात पे तो ए'तिमाद पुख़्ता हुआ
'नदीम' यूँ तो मुझे क्या मिला वफ़ा कर के

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Violence Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Violence Shayari Shayari